Monday, August 28, 2017

deed muhabbat toor muhabbat

deed muhabbat, toor muhabbat
husn, tajjali, noor muhabbat

haar yehi singhaar yehi hai
maang ka hai sindoor muhabbat

hum ne to har soo dekhi hai
paas muhabbat, door muhabbat

naaz usay har aik ada per
kitni hai maghroor muhabbat

kis ne rakha paas wafa ka
sirf hui mash'hoor muhabbat

beet chali hain kitni sadiyan
ab tak hai mehjoor muhabbat

vird, wazeefa, shaam savere
dafa muhabbbat, door muhabbat

zain bicharna kab mumkin tha
aan hui majboor muhabbat

No comments:

Post a Comment

© Urdu Shayari Aur Lovely Ghazals | Blogger Template by Enny Law